Vo pal kuch naya tha jab tumhe apni duniya banaya,
Choti choti baaton se sapnon ka ghar banana,
Tumhare haath lagane par dil ka tham jana,
Tumse milne ke intezaar me koi dhun gungunana
Aur vo teen shabd sunke khushi se jhoom jana
Vo pal bhi naya tha jab tumhe khone ke darr ne humein samaya,
Par vo ehsaas to purana tha jab aansu chaha kar bhi na tham sake.
Vo pal kuch naya tha jab tumhare saath me hi khushi thi,
Tumhare ehsaas se har pal meetha tha
Aur tumhare bina har haseen pal bhi pheeka
Tumhari baton pe sharmaana bhi naya tha
Aur sharmaa ke vo haath pakadna bhi,
Vo pal bhi kuch naya tha jab tumse dur jaane ke gam ne humein sataya,
Par vo ehsaas to purana tha jab aansu chaha kar bhi na tham sake.
Vo pal kuch naya tha jab zindagi ke in palon me khushiyan to bahut thi,
Par inhe bhoolne me hi achaai thi,
Vo pal kuch naya tha jab khushiyan daaman me sama na paayi,
Par gam ne aa kar fir jholi khali kar dee,
In sab naye palon me, vahi purana ehsaas…
Jab aansun chaha kar bhi na tham sake.
P.S. similar to the last one, but on a different topic.